Powered By Blogger

Total Pageviews

Friday, July 14, 2017

Pyaar ki Paati(6)






aaj maine ek article padha jisme ye bataya gaya tha ki aastha kya hai..aastha kisi tathya ko nhi manti, aastha kisi tark ko nahi manti..

Meri tum par aastha hai..mai sab janta hu..par ek dridh vishwas paida karta hai, meri aastha me ek lakshya hai..mai nidar hu...mera lakshya hmare pyaar ko wo ijjat dilana hai, taki hm apne sir ko hmesha uncha karke chale..mai tumhe pyaar karte hue jeena chahta hu..tumse alag hokar kosna nahi chahta khud ko ya apni kismat ko..aur sahi mayno me yehi mera sahas hai..mujhe tumse kuch nahi chahiye..bas tum thik raho..aage badho..aur khusiyan mile tumhe asimit..

Meri aastha ya shraddha mujhe hmesha har sankat jhelne ki prerna denge..aage badhaenge..hmare divine love ko jitayenge..

tumhari wo hmesha madad kar sake..tabhi meri koshish sarthak hogi..mai tumhe pareshan nahi kar sakta..bt tumhari pareshani hal karna chahta hu..yehi kiya hai aaj bhi aaur aage bhi karunga..jyada sochna aur pareshan mat hona...tum ho to sab kuch hai..tum suraj ho..jisse mai roshan hu..meri koshish kamyab hai..

apna dhyaan rakhna Gari hmesha..
tumhari aastha me..
Abhi

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.